रविवार, 30 अक्तूबर 2011

utar jata hai

jaise chadhti hui nadi ka jwaar utar jata hai.
kaisaa bhi ho nashaa aikdin yaar utar jata hai .
maana maine lafz chhuri se bhi painaa hota hai,
lekin har chaakoo ka dekha dhaar utar jata hai .
bade safeene doob gaye par aik aadmi dariya men ,
ik tinke ka liye sahaara paar  utar jata hai .
tanhaa yun to bojh gamon ka bahut bada lagta hai ,
lekin paakar saath kisi ka bhaar utar jata hai .
bajti hui surili veena bahut sukun deti hai ,
mushkil to tab hoti hai jab taar utar jata hai .
chadhta nahin dubaara chahe kitni bhi koshish ho,
shakhs kisi ki najron se ik baar utar jata hai .

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें